Lakh Unchi Sahi Ai Dost Kisi Ki Aawaz

lakh unchi sahi ai dost kisi ki aawaz

apni aawaz bahar-e-haal hai apni aawaz

ab kuen par nazar aata nahin pyason ka hujum

tere pazeb ki kya TuT ke bikhri aawaz

wo kisi chhat kisi diwar se roke na ruki

garm honTon ke tasadum se jo ubhri aawaz

logo sach mat kaho sach ki nahin qimat koi

kisi diwane ki sannaTe mein gunji aawaz

buDhi sadiyon ki jaDen kaT diya karti hai

choT khae hue jazbaat ki zaKHmi aawaz

main ne jab jab kaha tishna hain adab ki qadren

dab gai kitni hi aawazon mein meri aawaz

waza-dari ne kahin ka nahin rakkha 'zahid'

warna kitnon ne badal rakkhi hai apni aawaz

(1262) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lakh Unchi Sahi Ai Dost Kisi Ki Aawaz In English By Famous Poet Zahid Kamal. Lakh Unchi Sahi Ai Dost Kisi Ki Aawaz is written by Zahid Kamal. Read famous Poem Lakh Unchi Sahi Ai Dost Kisi Ki Aawaz for youth and Student by Zahid Kamal. Free Download Lakh Unchi Sahi Ai Dost Kisi Ki Aawaz in PDF.