Mizaj-e-sher Ko Har Daur Mein Raha Mahbub

mizaj-e-sher ko har daur mein raha mahbub

khanakta lahja sulagta hua naya uslub

talash aur tajassus ke bawajud hamein

wo chiz mil na saki jo hai waqt ko matlub

koi bhi aankh wahan tak pahunch nahin sakti

chhupa ke rakkhe hain tu ne jahan mere maktub

abhi to aas ke aangan mein kuchh ujala hai

salone chand judai ke baadalon mein na Dub

jo log kahte rahe hain KHuda mohabbat hai

KHud un ke hathon hi masumiyat hui maslub

'quli'-qutub nahin 'zahid'-kamal hun ai dost

main tere nam se kis shahr ko karun mansub

(1017) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mizaj-e-sher Ko Har Daur Mein Raha Mahbub In English By Famous Poet Zahid Kamal. Mizaj-e-sher Ko Har Daur Mein Raha Mahbub is written by Zahid Kamal. Read famous Poem Mizaj-e-sher Ko Har Daur Mein Raha Mahbub for youth and Student by Zahid Kamal. Free Download Mizaj-e-sher Ko Har Daur Mein Raha Mahbub in PDF.