Manafi Shuur Ka Ek Waraq

kya is nizam ko jagir-dar badlega?

jo

mere wote se muntaKHab hota hai

aur

mere KHwabon par tex lagata hai

kya

is nizam ko sarmaya-dar badlega?

jo

mujh se bara ghanTe ki begar leta hai

magar

aaTh ghanTe ki ujrat dene par bhi tayyar nahin!

kya danish-war is nizam ko badal sakta hai?

magar wo to

ek plot ya ghair-mulki daure ke ewaz

hukmaranon ke liye lughat mein se sataishi alfaz

jama karta rahta hai!

tajir is nizam ko kaise badlega?

wo to bajaT ki tamam muraat sameT kar

sari mahngai

mere khate mein darj kar deta hai

siyasat-dan is nizam ka muhafiz kyun na ho!

ki us ki barkat se

wo sarkari school aur dispensary mein apni bhains bandh sakta hai

aur

saya dene wale ghair-sarkari daraKHt ke niche

class lene wale ziddi teacher ko

apni pajero se bandh kar ghasiTe jaane ki dhamki deta hai

main ne

sahafi se is nizam ko badalne ki darKHwast ki

magar wo

thana muharrir ke pas baiTh kar chae pine aur KHabren likhne mein magan tha

ye sab jaante hue

main agle panch sal ke liye

apna chehra apne halqe ke paTwari ko de dunga

jo use

aks-e-shajra mein lapeT kar rakh lega

aur

wote ki parchi par mera anguTha KHud hi laga lega

(1047) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manafi Shuur Ka Ek Waraq In English By Famous Poet Zahid Masood. Manafi Shuur Ka Ek Waraq is written by Zahid Masood. Read famous Poem Manafi Shuur Ka Ek Waraq for youth and Student by Zahid Masood. Free Download Manafi Shuur Ka Ek Waraq in PDF.