Mere Logo! Main Khaali Hath Aaya Hun

kai manzar badalte hain

khuli aankhon ke shishe par sulagti KHak ka chehra

charaghon ka dhuan,

khiDki,

koi rauzan

hawa ke nam karne ko hamare pas kya baqi, bacha hai?

lahu ke par lagi saDken

kaTe sar par barasti jutiyon ke shor mein jaga hua

be-KHanuman nam-o-nasab,

matam-kunan girya-kunan aankhen,

shikasta-ru sahar ki siskiyan

jaise

masihaon ke ujle pairahan par zaKHm bharne ki

riwayat naqsh hoti hai

hamare pas kya baqi bacha hai?

tilism-awar shuuri qahqahe

kirnen!

dur-e-mahtab se nikli hui kuchh mustarad kirnen

ridaen!

jin ke konon se bandhe sikke

mera tawan Thahre hain

lahu tawan mein de kar

main KHali hath aaya hun

mere logo!

bhanwar ki rah se bach kar main KHali hath aaya hun

mujhe kis ne bulaya tha!

kisi ummid se mansub raste ne

jahan shaKH-e-samar ab tak shajar ki kokh se bahar nahin nikli

jahan

jiwan ki lambi aastin sans leta hai

meri aahon ka sannaTa!!

(1091) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Logo! Main Khaali Hath Aaya Hun In English By Famous Poet Zahid Masood. Mere Logo! Main Khaali Hath Aaya Hun is written by Zahid Masood. Read famous Poem Mere Logo! Main Khaali Hath Aaya Hun for youth and Student by Zahid Masood. Free Download Mere Logo! Main Khaali Hath Aaya Hun in PDF.