Qatra-e-ab Ko Kab Tak Meri Dharti Tarse

qatra-e-ab ko kab tak meri dharti tarse

aag lag jae samundar mein to pani barse

surKH miTTi ki rida oDhe hai kab se aakash

na shafaq phule na rim-jhim kahin baadal barse

hum ko khinche liye jate hain sarabon ke bhanwar

jaane kis waqt mein hum log chale the ghar se

kis ki dahshat hai ki parwaz se KHaif hain tuyur

qumriyan shor machati nahin kis ke Dar se

chaar-su kucha-o-bazar mein mahshar hai bapa

KHauf se log nikalte nahin apne ghar se

muD ke dekha to hamein chhoD ke jati thi hayat

hum ne jaana tha koi bojh gira hai sar se

(1692) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qatra-e-ab Ko Kab Tak Meri Dharti Tarse In English By Famous Poet Zahida Zaidi. Qatra-e-ab Ko Kab Tak Meri Dharti Tarse is written by Zahida Zaidi. Read famous Poem Qatra-e-ab Ko Kab Tak Meri Dharti Tarse for youth and Student by Zahida Zaidi. Free Download Qatra-e-ab Ko Kab Tak Meri Dharti Tarse in PDF.