Jazba-e-be-karana

luTa do luTa do

ye afkar-o-anwar ka

nim-KHufta KHazana

umaDte simaTte

talatum se Dhaalo

koi dard-agin fasana

makan la-makan hai

zaman be-karan hai

nihan hai

isi mehwar-e-arzu mein

tumhaare KHad-o-KHal ka

aks-e-mauhum

parwaz ka jazba-e-be-karana

ghani aur be-nur rahon mein

banaogi kya aashiyana

luTa do lunDha do

bachi hai jo ab jam mein

ye sharab-e-shabana

ki anjam-e-hasti

fana ke samundar mein hai

Dub jaana

(959) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jazba-e-be-karana In English By Famous Poet Zahida Zaidi. Jazba-e-be-karana is written by Zahida Zaidi. Read famous Poem Jazba-e-be-karana for youth and Student by Zahida Zaidi. Free Download Jazba-e-be-karana in PDF.