Nigah-e-shauq Ko RuKH Par Nisar Hone Do

nigah-e-shauq ko ruKH par nisar hone do

ye rang laegi kya kya bahaar hone do

rahin-e-jazba-e-be-iKHtiyar hone do

jo ho raha hai koi be-qarar hone do

dil-e-hazin ko mere jalwa-zar hone do

KHizan-nasib chaman mein bahaar hone do

dil-e-firaq-zada mein qarar hone do

dam-e-ajal to nigahon ko chaar hone do

karishme dekhna mar mar ke jine walon ke

tum apne kuche mein mera mazar hone do

tum apne wadon ki ifa karo umid nahin

jahan mein husn ko be-e'tibar hone do

shab-e-firaq mein lo chal basa tumhaara 'taj'

qayam-e-hashr tak ab intizar hone do

(1149) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-e-shauq Ko RuKH Par Nisar Hone Do In English By Famous Poet Zahiir Ahmad Taaj. Nigah-e-shauq Ko RuKH Par Nisar Hone Do is written by Zahiir Ahmad Taaj. Read famous Poem Nigah-e-shauq Ko RuKH Par Nisar Hone Do for youth and Student by Zahiir Ahmad Taaj. Free Download Nigah-e-shauq Ko RuKH Par Nisar Hone Do in PDF.