Mashrab-e-husn Ke Unwan Badal Jate Hain

mashrab-e-husn ke unwan badal jate hain

mazhab-e-ishq mein iman badal jate hain

ruKH-e-jaan se tere paikan badal jate hain

KHana-e-qalb ke mehman badal jate hain

ishq mein pyar ke imkan badal jate hain

husn ke faiz se ruman badal jate hain

inqalabaat-e-tamaddun se jahan mein aksar

main ne dekha hai ki insan badal jate hain

ek safine ke tasadum se ye dekha main ne

roz umaDte hue tufan badal jate hain

itni ai dost pila hosh na aane pae

aalam-e-hosh mein arman badal jate hain

manzar-e-sham-o-sahar par na ho giryan shabnam

ghuncha-o-gul ke nigahban badal jate hain

aise afsane bhi guzre hain nigahon se bahut

jin ke anjam se unwan badal jate hain

manzar-e-am pe aate hi payam-e-mazdur

satwat-e-shahi ke farman badal jate hain

zindagi jazba-e-ruman-e-musalsal hi sahi

tere ehsas se ruman badal jate hain

KHatm gulshan pe nahin 'zeb' bahaaron ki haden

mausam-e-gul mein bayaban badal jate hain

(1696) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mashrab-e-husn Ke Unwan Badal Jate Hain In English By Famous Poet Zaib Bareilwi. Mashrab-e-husn Ke Unwan Badal Jate Hain is written by Zaib Bareilwi. Read famous Poem Mashrab-e-husn Ke Unwan Badal Jate Hain for youth and Student by Zaib Bareilwi. Free Download Mashrab-e-husn Ke Unwan Badal Jate Hain in PDF.