Kuchh Aise Haal-o-mazi Tere Afsane Bhi Hote Hain

kuchh aise haal-o-mazi tere afsane bhi hote hain

jo har mahaul-e-mustaqbil ko dohrane bhi hote hain

jo ehsas-e-jawani ki hasin KHalwat mein palte hain

wo jalwe manzar-e-jazbaat par lane bhi hote hain

KHamoshi dastan hai ismat-e-unwan-e-hasti ki

KHamoshi mein nihan ismat ke afsane bhi hote hain

harim-e-dil mein tujh ko kawish-e-gham hum bhi puchhenge

tasawwur mein tere aksar sanam-KHane bhi hote hain

kabhi tufan mein ruKH maujen badal deti hain jab apna

safine sahilon par la ke Takrane bhi hote hain

aqidat shart hai ai 'zeb' jazbaat-e-aqidat ki

haram ki rah mein tamir but-KHane bhi hote hain

(1022) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Aise Haal-o-mazi Tere Afsane Bhi Hote Hain In English By Famous Poet Zaib Bareilwi. Kuchh Aise Haal-o-mazi Tere Afsane Bhi Hote Hain is written by Zaib Bareilwi. Read famous Poem Kuchh Aise Haal-o-mazi Tere Afsane Bhi Hote Hain for youth and Student by Zaib Bareilwi. Free Download Kuchh Aise Haal-o-mazi Tere Afsane Bhi Hote Hain in PDF.