Ishq Ki Manzil Mein Ab Tak Rasm Mar Jaane Ki Hai

ishq ki manzil mein ab tak rasm mar jaane ki hai

husn ki mahfil mein ab bhi KHak parwane ki hai

aarzu-e-shauq kaif-e-mustaqil pane ki hai

dil ki har taKHrib mein tamir virane ki hai

mehr-e-qabl-e-sham ki raftar mastane ki hai

matla-e-rang-e-shafaq mein shan maiKHane ki hai

sham-e-mahfil bhi nahin aur ahl-e-mahfil bhi nahin

nazish-e-mahfil sahar tak KHak parwane ki hai

ho sakegi kis tarah sarf-e-qalam rudad-e-dil

ab bhi zer-e-ghaur surKHi gham ke afsane ki hai

kya sukun-e-kaif de rangin mahaul-e-qafas

har ghaDi pesh-e-nazar taswir kashane ki hai

chand lamhon ko chale aana mere marne ke baad

kya zarurat jite-ji taklif farmane ki hai

aur kya hota ziyaada is se ehsas-e-wafa

shama ke daman mein koi shart parwane ki hai

bandagi mashrut ho sakti nahin ahl-e-nazar

is mein koi shart kabe ki na but-KHane ki hai

dastan-e-arzu hai naghma-e-ahd-e-shabab

is ki surKHi par zarurat ghaur farmane ki hai

markaz-e-ahl-e-nazar hai 'zeb' nairang-e-KHayal

phir kami kyun manzar-e-fitrat pe chha jaane ki hai

(1123) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ki Manzil Mein Ab Tak Rasm Mar Jaane Ki Hai In English By Famous Poet Zaib Bareilwi. Ishq Ki Manzil Mein Ab Tak Rasm Mar Jaane Ki Hai is written by Zaib Bareilwi. Read famous Poem Ishq Ki Manzil Mein Ab Tak Rasm Mar Jaane Ki Hai for youth and Student by Zaib Bareilwi. Free Download Ishq Ki Manzil Mein Ab Tak Rasm Mar Jaane Ki Hai in PDF.