Dast-e-talab Daraaz Ziyaada Na Kar Sake

dast-e-talab daraaz ziyaada na kar sake

hum zindagi se koi taqaza na kar sake

chunki karam pe hum tere shubha na kar sake

bas ai KHuda gunah se tauba na kar sake

jab e'tibar-e-zauq-e-nazar bhi na mil saka

nazron ko apni waqf-e-nazara na kar sake

tu jab qarib-e-jaan bhi qarib-e-nazar bhi tha

hum bhi ba-zoam-e-ishq iada na kar sake

phir to tera KHayal bhi aaya nahin kabhi

phir hum teri talab bhi gawara na kar sake

(980) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dast-e-talab Daraaz Ziyaada Na Kar Sake In English By Famous Poet Zain Ramish. Dast-e-talab Daraaz Ziyaada Na Kar Sake is written by Zain Ramish. Read famous Poem Dast-e-talab Daraaz Ziyaada Na Kar Sake for youth and Student by Zain Ramish. Free Download Dast-e-talab Daraaz Ziyaada Na Kar Sake in PDF.