Dhup Saron Par Aur Daman Mein Saya Hai

dhup saron par aur daman mein saya hai

sun to sahi jo peDon ne farmaya hai

kaise kah dun bich apne diwar hai jab

chhoDne koi darwaze tak aaya hai

us se aage jaoge tab jaanenge

manzil tak to rasta tum ko laya hai

baadal ban kar chahe kitna uncha ho

pani aaKHir miTTi ka sarmaya hai

aaKHir ye nakaam mohabbat kaam aai

tujh ko kho kar main ne KHud ko paya hai

'shaz' mohabbat ko apnana khel nahin

apne hath se apna hath chhuDaya hai

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhup Saron Par Aur Daman Mein Saya Hai In English By Famous Poet Zakariya Shaz. Dhup Saron Par Aur Daman Mein Saya Hai is written by Zakariya Shaz. Read famous Poem Dhup Saron Par Aur Daman Mein Saya Hai for youth and Student by Zakariya Shaz. Free Download Dhup Saron Par Aur Daman Mein Saya Hai in PDF.