Dekho Ghir Kar Baadal Aa Bhi Sakta Hai

dekho ghir kar baadal aa bhi sakta hai

aadhi raat wo pagal aa bhi sakta hai

yun jo uDta phirta hai tere sar par

pairon mein ye aanchal aa bhi sakta hai

rakh ke Dher mein aag chhupi bhi hoti hai

KHali aankh mein kajal aa bhi sakta hai

lazim hai kya sab ki pyas ho ek jaisi

ho kar koi jal-thal aa bhi sakta hai

itne moD safar mein dekh chuka hun 'shaz'

mere KHayalon mein bal aa bhi sakta hai

(794) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekho Ghir Kar Baadal Aa Bhi Sakta Hai In English By Famous Poet Zakariya Shaz. Dekho Ghir Kar Baadal Aa Bhi Sakta Hai is written by Zakariya Shaz. Read famous Poem Dekho Ghir Kar Baadal Aa Bhi Sakta Hai for youth and Student by Zakariya Shaz. Free Download Dekho Ghir Kar Baadal Aa Bhi Sakta Hai in PDF.