Kya Nazara Tha Meri Aankhon Mein

kya nazara tha meri aankhon mein

jab wo sara tha meri aankhon mein

ek tufan tha kahin barpa

aur dhaara tha meri aankhon mein

haal kaisa ye tu ne kar Dala

kitna pyara tha meri aankhon mein

kuchh bhi dekha nahin tha main ne jab

har nazara tha meri aankhon mein

chand jab tak nazar na aaya tha

tara tara tha meri aankhon mein

jab kiya ishq ka safar aaghaz

kab kinara tha meri aankhon mein

kitni aankhon se 'shaz' bachte hue

koi haara tha meri aankhon mein

(895) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Kya Nazara Tha Meri Aankhon Mein In English By Famous Poet Zakariya Shaz. Kya Nazara Tha Meri Aankhon Mein is written by Zakariya Shaz. Read famous Poem Kya Nazara Tha Meri Aankhon Mein for youth and Student by Zakariya Shaz. Free Download Kya Nazara Tha Meri Aankhon Mein in PDF.