Kis Qayamat Ki GhuTan Tari Hai

kis qayamat ki ghuTan tari hai

ruh par kab se badan tari hai

kaun ye saya-fagan hai aaKHir

mere suraj pe gahan tari hai

baat kya aur nai hum sochen

jab wahi charKH-e-kuhan tari hai

sirf hum hi to nahin TuTe hain

raston par bhi thakan tari hai

'shaz' uDta hi chala jata hun

kaisi KHushbu ki lagan tari hai

(1014) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Qayamat Ki GhuTan Tari Hai In English By Famous Poet Zakariya Shaz. Kis Qayamat Ki GhuTan Tari Hai is written by Zakariya Shaz. Read famous Poem Kis Qayamat Ki GhuTan Tari Hai for youth and Student by Zakariya Shaz. Free Download Kis Qayamat Ki GhuTan Tari Hai in PDF.