Dariya Ka ChaDhaw Bandh Lena

dariya ka chaDhaw bandh lena

sailab mein naw bandh lena

shahron ke ghubar uD rahe hain

sahra ki hawao bandh lena

barish mein phira hun shab hui hai

zulfon ki ghaTao bandh lena

zaKHmon ki numaishen nahin KHub

ye zist ke ghaw bandh lena

aamada-e-sarkashi hain jazbaat

mere qarib aao bandh lena

aalam ki ragen si TuTti hain

jismon ke khinchaw bandh lena

kyun ruKH pe hawaiyan uDi hain

phir hum se lagaw bandh lena

(907) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Dariya Ka ChaDhaw Bandh Lena In English By Famous Poet Zakauddin Shaya.n. Dariya Ka ChaDhaw Bandh Lena is written by Zakauddin Shaya.n. Read famous Poem Dariya Ka ChaDhaw Bandh Lena for youth and Student by Zakauddin Shaya.n. Free Download Dariya Ka ChaDhaw Bandh Lena in PDF.