Hare Mausam Khilenge Sona Ban Ke KHak Badlegi

hare mausam khilenge sona ban ke KHak badlegi

kahan tak ye zamin aaKHir nai poshak badlegi

hasin masum honTon par mohabbat ke sabaq taza

kabhi to aadmi ki fitrat-e-chaalak badlegi

rawan hai aab-o-KHun sar pattharon ko phoDne dije

nadi sailab ki rau mein KHas-o-KHashak badlegi

saliqa zindagi ki wahshaton ko milne wala hai

qaba us ki yaqinan daman-e-sad-chaak badlegi

chhabakti shabnamin aankhon mein najm-o-gul ke afsane

nai karwaT abhi shayad hamari KHak badlegi

dhule kapDon pe dagh-e-KHushbu rang-e-zindagi raushan

teri qurbat se dil ki sar-zamin-e-pak badlegi

(928) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hare Mausam Khilenge Sona Ban Ke KHak Badlegi In English By Famous Poet Zakauddin Shaya.n. Hare Mausam Khilenge Sona Ban Ke KHak Badlegi is written by Zakauddin Shaya.n. Read famous Poem Hare Mausam Khilenge Sona Ban Ke KHak Badlegi for youth and Student by Zakauddin Shaya.n. Free Download Hare Mausam Khilenge Sona Ban Ke KHak Badlegi in PDF.