Darida-jaib Gareban Bhi Chaak Chahta Hai

darida-jaib gareban bhi chaak chahta hai

wo ishq kya hai jo daman ko pak chahta hai

mere ghamon se sarokar bhi wo rakkhega

meri KHushi mein jawab ishtirak chahta hai

phir aaj shart lagai hai dil ne wahshat se

phir aaj daman-e-ehsas pak chahta hai

wo tang aa ke zamane ki sard-mehri se

talluqat mein phir se tapak chahta hai

tamam umr raha KHud tabah-haal magar

nasib bachchon ka wo tabnak chahta hai

ajib nazron se takta hai wo dukanon ko

gharib bachchi ki KHatir frock chahta hai

baghair KHun kiye dil ko kuchh nahin milta

koi bhi fan ho 'zaki' inhimak chahta hai

(1005) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Darida-jaib Gareban Bhi Chaak Chahta Hai In English By Famous Poet Zaki Tariq. Darida-jaib Gareban Bhi Chaak Chahta Hai is written by Zaki Tariq. Read famous Poem Darida-jaib Gareban Bhi Chaak Chahta Hai for youth and Student by Zaki Tariq. Free Download Darida-jaib Gareban Bhi Chaak Chahta Hai in PDF.