Amiron Ke Bure Atwar Ko Jo Thik Samjhe Hai

amiron ke bure atwar ko jo Thik samjhe hai

meri haq baat ko wo qabil-e-tashkik samjhe hai

bahut mushkil hai jo us ki gharibi dur ho jae

ajab KHuddar hai imdad ko bhi bhik samjhe hai

mere bare mein us ke kan bharta hai koi shayad

bayan tausif karta hun to wo tazhik samjhe hai

tere KHat teri taswiren shikasta-dil ke kuchh TukDe

tera diwana in sab ko teri tamlik samjhe hai

main us ke har guman ka pas akasr rakkha karta hun

mera dil apne dil ke wo bahut nazdik samjhe hai

chale hai is tarah jaise chale talwar par koi

wo meri rahguzar ko jaane kyun barik samjhe hai

siyasat ke andheron ne ujale sab nigal Dale

gharib insan din ko bhi shab-e-tarik samjhe hai

(1069) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Amiron Ke Bure Atwar Ko Jo Thik Samjhe Hai In English By Famous Poet Zameer Atraulvi. Amiron Ke Bure Atwar Ko Jo Thik Samjhe Hai is written by Zameer Atraulvi. Read famous Poem Amiron Ke Bure Atwar Ko Jo Thik Samjhe Hai for youth and Student by Zameer Atraulvi. Free Download Amiron Ke Bure Atwar Ko Jo Thik Samjhe Hai in PDF.