KHak-zade KHak Mein Ya KHak Par Hain Aaj Bhi

KHak-zade KHak mein ya KHak par hain aaj bhi

samne ek kuza-gar ke chaak par hain aaj bhi

ye na jaana kis taraf se aai chingari magar

tohmaten sari KHas-o-KHashak par hain aaj bhi

jis takabbur ki badaulat chhin gae un ke huquq

is ke asraat-e-raunat nak par hain aaj bhi

main ne ratti-bhar nizam-e-fikr ko badla nahin

munhasir afkar sab idrak par hain aaj bhi

jo azal se hain safir uryaniyat ke un ke bhi

zawiye sab soch ke poshak par hain aaj bhi

mera chehra jaisa tha waisa dikhaya ai 'zamir'

sab yaqin aaina-e-be-bak par hain aaj bhi

(1052) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHak-zade KHak Mein Ya KHak Par Hain Aaj Bhi In English By Famous Poet Zameer Atraulvi. KHak-zade KHak Mein Ya KHak Par Hain Aaj Bhi is written by Zameer Atraulvi. Read famous Poem KHak-zade KHak Mein Ya KHak Par Hain Aaj Bhi for youth and Student by Zameer Atraulvi. Free Download KHak-zade KHak Mein Ya KHak Par Hain Aaj Bhi in PDF.