Rahaton Ke Dhoke Mein Iztirab DhunDe Hain

rahaton ke dhoke mein iztirab DhunDe hain

hum ne apni KHatir hi KHud azab DhunDe hain

ye to us ki aadat hai rose gul masalta hai

aaj bhi masalne ko kuchh gulab DhunDe hain

raat aandhi aane par uD gae the KHeme sab

ghafilon ne mushkil se kuchh tanab DhunDe hain

teri hukmarani bhi KHatm hone wali hai

hum ne kuchh kitabon mein inqalab DhunDe hain

mere kuchh sawalon ke tum ne ek muddat mein

masalon se haT kar hi kyun jawab DhunDe hain

kale karname aur kala munh chhupane ko

kuchh safed-poshon ne kuchh naqab DhunDe hain

dekhiye 'zamir' hum bhi hain ajab hi diwane

chhoD kar haqiqat ko hum jawab DhunDe hain

(1023) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahaton Ke Dhoke Mein Iztirab DhunDe Hain In English By Famous Poet Zameer Atraulvi. Rahaton Ke Dhoke Mein Iztirab DhunDe Hain is written by Zameer Atraulvi. Read famous Poem Rahaton Ke Dhoke Mein Iztirab DhunDe Hain for youth and Student by Zameer Atraulvi. Free Download Rahaton Ke Dhoke Mein Iztirab DhunDe Hain in PDF.