Ye Kaisa Kaam Ai Dast-e-masih Kar Dala

ye kaisa kaam ai dast-e-masih kar Dala

jo dil ka zaKHm tha wo hi sahih kar Dala

shab-e-siyah ka chehra udas dekha to

nikal ke chand ne us ko malih kar Dala

zara sa jhank ke tarikiyon se suraj ne

malih chehra-e-shab ko sabih kar Dala

main kaise aql ka paikar samajh lun insan ko

KHud apni zist ko jis ne qabih kar Dala

kal us ne chheD ke mahfil mein tazkira mera

har ek aib-o-hunar ko sarih kar Dala

tumhaari dastan uljhi hui thi wahmon mein

duaen do hamein hum ne fasih kar Dala

(1021) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kaisa Kaam Ai Dast-e-masih Kar Dala In English By Famous Poet Zameer Atraulvi. Ye Kaisa Kaam Ai Dast-e-masih Kar Dala is written by Zameer Atraulvi. Read famous Poem Ye Kaisa Kaam Ai Dast-e-masih Kar Dala for youth and Student by Zameer Atraulvi. Free Download Ye Kaisa Kaam Ai Dast-e-masih Kar Dala in PDF.