Layal-pur Ke Machchhar

ye layal-pur ke machchhar jo mil walon ne pale hain

bahadur surma sawant tagDe aur jiyale hain

munazzam taur se mehman pe shab-KHun marne wale

ye wo hain jo nahin kaunain se bhi haarne wale

filaT chhiDke hue kamron mein bhi tan-tan ke aate hain

wo sab mil kar KHushi mein fath ke baje bajate the

kabhi wo chaarpai par kabhi wo farsh par baiThe

dimagh uncha hawa itna ki uD kar 'arsh' par baiThe

kisi machchhar ne baDh kar hazrat-e-'maKHmur' ko kaTa

KHumar utra to chhaya aalam-e-hasti mein sannaTa

kabhi raghib se raghbat ki kabhi sahil pe aa baiThe

sawab-e-haj ki KHatir maulwi 'mahir' pe ja baiThe

kabhi 'azad' ko chakkha kabhi 'ehsan' ko chaTa

sitam ye hai ki mujh se sahib-e-iman ko kaTa

miyan-sayyad-mohamad-jafari ki ghair haalat thi

jo munh khola ghuse munh mein lihaf oDha to shamat thi

kaha 'aKHtar' se panDit-ji hamara bhi bhajan sun lo

bahut hi muKHtasar hai qissa-e-dar-o-rasan sun lo

bahut tang aa gae jab machchharon ki Dank-mari se

to sab shaer taDap uTThe nihayat be-qarari se

kameti kar ke aapas mein yahi ek baat tai pai

jawabi hamla un par ho ba-sad sabr-o-shakebai

bahut hushyar hokar an se laDne ki jo bai hai

kahin sab shairon aur machchharon ki jang jari hai

kabhi tali bajate the kabhi wo sar khujate the

wo ghabrahaT mein mil kar ek hi misra ye gate the

zara si jaan ki changez-KHani dekhte jao

ab uTTha chahti hai lash-e-'fani' dekhte jao

(1601) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Layal-pur Ke Machchhar In English By Famous Poet Zareef Jabalpuri. Layal-pur Ke Machchhar is written by Zareef Jabalpuri. Read famous Poem Layal-pur Ke Machchhar for youth and Student by Zareef Jabalpuri. Free Download Layal-pur Ke Machchhar in PDF.