Filmi Ishq

mohabbat jis ko kahte hain baDi mushkil se hoti hai

faqat ek bar hoti hai KHulus-e-dil se hoti hai

jahan-e-film mein, ulfat ka har naKHra nirala hai

ye aisi dal hai jis dal mein kala hi kala hai

agar bazar mein laDki phisal jae mohabbat hai

sahaara pa ke laDke ka sambhal jae mohabbat hai

kisi laDki ko Daku se chhuDa kar lao ulfat ho

kisi ki bicycle se bicycle Takrao ulfat ho

ye filmi ishq ne kaisa naya pahlu nikala hai

police-kaptan ki laDki ka aashiq rikshe wala hai

muqaddar ko kahin se saz-gari hi nahin milti

wahi milti hai aur koi sawari hi nahin milti

amiri par gharibi ka wo yun sikka jamata hai

kiraya tak nahin leta magar chaDDi khulata hai

sar-e-bazar hero se jo accident ho jae

to us ka ishq accident se disent ho jae

ba-zahir dekhne mein sirf ek motor ki Takkar hai

kisi dil-phenk se lekin kisi dilbar ki Takkar hai

wo heroine ko motor mein shifa-KHane bhi laega

aur us ke dil ko bahlane ko gana bhi sunaega

wo gana jis mein haal-e-dil ki puri tarjumani ho

magar ye shart hai bharpur donon ki jawani ho

wo phir motor se Takkar ki shikayat bhul jaegi

wo zaKHm-e-dil ke aage har jarahat bhul jaegi

janab-e-seTh-sahab ki jo ek be-man ki bachchi hai

nihayat laDli hai umr puKHta aql kachchi hai

aur us ko seTh ke daftar ke ek babu se ulfat hai

manager aur babu ke liye wajh-e-raqabat hai

natije mein wilen nashad hero shad hota hai

taraqqi pa ke babu seTh ka damad hota hai

kabhi laDki pe jo tanha safar ka saneha guzre

to chalti rail mein bhi ishq ka ye hadsa guzre

ki hero rail ke sanDas se Dabbe mein aaega

aur is ke baad heroine ko bas behosh paega

wo us ke sar ko phir zanu pe rakh kar gal thapkega

aur us ki aankh se ek ishq ka aansu bhi Tapkega

to heroine bhi bas ghabra ke aankhen khol Dalegi

ye us ka dil sambhaalega wo is ka dil sambhaalegi

hon do bahnen baDi ka un mein iklauta mangetar ho

mohabbat se bapa donon ke dil mein ek mahshar ho

ki chhoTi ko bhi ulfat us se hogi barmala hogi

wo apne hone wale dulha-bhai pe fida hogi

firaq-e-yar mein gane ka ye andaz hota hai

wo jangal ho ki basti ho yaqinan saz hota hai

ghazal aadhi jo hero ne kisi jangal mein gai hai

usi ki aadhi heroine ne basti mein sunai hai

jo sazinde, pyano, woilin, tabla bajate hain

kabhi jangal mein jate hain kabhi basti mein aate hain

ye filmi ishq hai, le de ke bas is ka ye hasil hai

hamari qaum ke bachchon ke haq mein zahr-e-qatil hai

'zarif' anjam kya hoga jo mera dil bhi kho jae

kahin aisa na ho, mujh ko bhi filmi ishq ho jae

(1348) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Filmi Ishq In English By Famous Poet Zareef Jabalpuri. Filmi Ishq is written by Zareef Jabalpuri. Read famous Poem Filmi Ishq for youth and Student by Zareef Jabalpuri. Free Download Filmi Ishq in PDF.