Karenge Sab Ye Dawa Naqd-e-dil Jo Haar BaiThe Hain

karenge sab ye dawa naqd-e-dil jo haar baiThe hain

KHafifa mein tumhaare aashiq-e-nadar baiThe hain

ajab kya aashiqon ko dil mein ye mashuq kahte hon

ye kyun ghar gher kar mera KHuda ki mar baiThe hain

shab-e-furqat ka ek dariya-e-gham hai beach mein hail

jo main is par baiTha hun to wo us par baiThe hain

koi hai ittilaa is waqt kar de ja ke thane par

wo mere qatl par khinche hue talwar baiThe hain

safedi KHana-e-dil mein siyah-karon ke pherenge

nahin mimbar pe waiz paD par meamar baiThe hain

pakaD kar kan apna dars-gah-e-ishq mein aashiq

hazaron bar uTThe hain hazaron bar baiThe hain

kaha karte the walid qais ke fart-e-mohabbat mein

nahin malum kis jangal mein bar-KHurdar baiThe hain

'zarif' ab faeda kya shairon ko sardi khane se

ghazal hum paDh chuke ghar jaen kyun be-kar baiThe hain

(950) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karenge Sab Ye Dawa Naqd-e-dil Jo Haar BaiThe Hain In English By Famous Poet Zareef Lakhnavi. Karenge Sab Ye Dawa Naqd-e-dil Jo Haar BaiThe Hain is written by Zareef Lakhnavi. Read famous Poem Karenge Sab Ye Dawa Naqd-e-dil Jo Haar BaiThe Hain for youth and Student by Zareef Lakhnavi. Free Download Karenge Sab Ye Dawa Naqd-e-dil Jo Haar BaiThe Hain in PDF.