Mahsharistan-e-junun Mein Dil-e-nakaam Aaya

mahsharistan-e-junun mein dil-e-nakaam aaya

nala hangama-nawazi pe sar-e-sham aaya

mehr az-ru-e-mualla jo lab-e-baam aaya

dekhiye dekhiye ab dhup gai gham aaya

barq ki shoala-nawazi sabab-e-tul-e-hayat

fitrat-e-maut teri zist ka hangam aaya

muntashir ho gae jis waqt sab ajza-e-hayat

qatra dariya mein ba-andaza-e-anjam aaya

tausan-e-umr-e-gurezan ki subuk-raftari

kaam deti nahin jab maut ka paigham aaya

markaz-e-ruh ye hai kashmakash-e-maut-o-hayat

phir bhi waraftagi-e-shauq pe ilzam aaya

main wo aasuda-e-soz-e-KHalish-e-mizgan hun

jis ko rah-e-talab-e-shauq mein aaram aaya

tur se ek kashish-e-mashq thi surat-gar-e-shauq

tujh par ai wadi-e-aiman abas ilzam aaya

sard-mehri se kisi ko jo hui hajat-e-ghusl

garm-joshi ko baghal mein liye hammam aaya

zulf ke jal mein mashuq ka sar hai KHud bhi

qaidiyon muzhda ki sayyaad tah-e-dam aaya

qabr se rasta sidha hai KHuda ke ghar ka

jo udhar jaane laga bandh ke ehram aaya

hai agar nam isi ka adbiyat-e-latif

to 'zarif' is ko kahen kya jise ye kaam aaya

(1350) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mahsharistan-e-junun Mein Dil-e-nakaam Aaya In English By Famous Poet Zareef Lakhnavi. Mahsharistan-e-junun Mein Dil-e-nakaam Aaya is written by Zareef Lakhnavi. Read famous Poem Mahsharistan-e-junun Mein Dil-e-nakaam Aaya for youth and Student by Zareef Lakhnavi. Free Download Mahsharistan-e-junun Mein Dil-e-nakaam Aaya in PDF.