Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e377030088505cf5e96fd54f94072b81, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Majnun Ka Jo Ai Laila Juta Na PhaTa Hota - Zareef Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Majnun Ka Jo Ai Laila Juta Na PhaTa Hota

majnun ka jo ai laila juta na phaTa hota

pichhe tere naqe ke kyun barahna-pa hota

be-faeda ghul machta kya jaaniye kya hota

gar un ki gali hoti aur mera gala hota

hota agar aadam ka duniya mein koi bhai

nasl-e-bani-adam ka wallah chacha hota

gar qais ki wahshat ka kuchh unT asar leta

laila ko gira deta aur bhag khaDa hota

muflis se ziyaada-tar munim hi gursana hain

kyun rose hawa khate gar peT bhara hota

wo ban ke masiha bhi achchha jo na kar sakte

bimar tere haq mein ye aur bura hota

madum dahan hota mafqud kamar hoti

mashuq 'zarif' aisa hota bhi to kya hota

(1384) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Majnun Ka Jo Ai Laila Juta Na PhaTa Hota In English By Famous Poet Zareef Lakhnavi. Majnun Ka Jo Ai Laila Juta Na PhaTa Hota is written by Zareef Lakhnavi. Read famous Poem Majnun Ka Jo Ai Laila Juta Na PhaTa Hota for youth and Student by Zareef Lakhnavi. Free Download Majnun Ka Jo Ai Laila Juta Na PhaTa Hota in PDF.