Wahshat Mein Har Ek Naqsha UlTa Nazar Aata Hai

wahshat mein har ek naqsha ulTa nazar aata hai

majnun nazar aati hai laila nazar aata hai

ai murgh-e-sahar kukDunkun bol kahin jaldi

tu bhi shab-e-furqat mein gunga nazar aata hai

daDhi ko teri waiz sab dekh ke kahte hain

wo qasr-e-taqaddus ka chhajja nazar aata hai

baz aae mohabbat se ai ishq KHuda-hafiz

ulfat mein jise dekho andha nazar aata hai

kuchh tujh ko KHabar bhi hai dekh aaine mein surat

o tirchhi nazar wale bhinga nazar aata hai

swaraj ke chakkar mein rahte the jo sargardan

un logon ko ab KHali charKHa nazar aata hai

(3485) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahshat Mein Har Ek Naqsha UlTa Nazar Aata Hai In English By Famous Poet Zareef Lakhnavi. Wahshat Mein Har Ek Naqsha UlTa Nazar Aata Hai is written by Zareef Lakhnavi. Read famous Poem Wahshat Mein Har Ek Naqsha UlTa Nazar Aata Hai for youth and Student by Zareef Lakhnavi. Free Download Wahshat Mein Har Ek Naqsha UlTa Nazar Aata Hai in PDF.