Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3f43d515a6b21c57ebe07f5273324ade, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tere Rahne Ko Munasib Tha Ki Chhappar Hota - Zareef Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Tere Rahne Ko Munasib Tha Ki Chhappar Hota

tere rahne ko munasib tha ki chhappar hota

ki na chaukhaT teri hoti na mera sar hota

qismat-e-najd ka gar qais commissioner hota

lady-laila ki hawa-KHori ko motor hota

ghair mil-jul ke uTha lete ki the be-ghairat

go pahaD aap ke ehsan ka chhappar hota

chae mein Dal kar ushshaq use pi jate

dar-haqiqat lab-e-mashuq jo shakkar hota

malak-ul-maut pe jhalne ko banata main chanwar

taer-e-ruh ki dam mein jo koi par hota

le hi leta lab-e-dildar ka bosa uD kar

kash aashiq jo banaya tha to machchhar hota

Thokaren ghair ke marqad pe lagata kyun kar

boot ki ja pe jo tu pahne sleeper hota

chaTta sari kitabon ko baghair az-diqqat

ilm ka shauq jise hai jo wo jhengar hota

pas karta resolution ki hasinon pe ho tex

main kabhi municipality ka jo member hota

lucknow se shab-e-yak-shamba bareilly aate

panw mein gar na 'zarif' apne sanichar hota

(1239) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Rahne Ko Munasib Tha Ki Chhappar Hota In English By Famous Poet Zareef Lakhnavi. Tere Rahne Ko Munasib Tha Ki Chhappar Hota is written by Zareef Lakhnavi. Read famous Poem Tere Rahne Ko Munasib Tha Ki Chhappar Hota for youth and Student by Zareef Lakhnavi. Free Download Tere Rahne Ko Munasib Tha Ki Chhappar Hota in PDF.