Tamanna Hai Kisi Ki Tegh Ho Aur Apni Gardan Ho

tamanna hai kisi ki tegh ho aur apni gardan ho

phir us ke baad yarab sar kaTe nale mein madfan ho

hujum-e-am ho aur mujtama goron ki palTan ho

samajh lo lauT aae hain jo station pe dan dan ho

kahen qatil ko hum mahbub agar hai ain nadani

hazar lazim hai aise shaKHs se jo apna dushman ho

lab-e-shirin agar mashuq ka qand-e-mukarrar hai

jabhi jaanen ki baiThen makkhiyan aur us pe bhan bhan ho

na turbat ki jagah kuche mein pai to shikayat kya

gali un ki koi takiya hai jis mein apna madfan ho

ye sab lakDi ke taKHte KHak mein mil jaen jal-bhun kar

ghazab ho jae gar sach-much lahad mein dagh raushan ho

yahi dahshat agar dast-e-junun ki hai to ai bhai

dupaTTa oDh lo jis mein gareban ho na daman ho

nigah-e-shauq kya Thahri wo goya belcha Thahri

makan-e-yar ki diwar mein jis se ki rauzan ho

machae shor-o-ghul aah-e-sharar-afshan kare har-dam

yahi ausaf lazim hai to aashiq kyun ho engine ho

hamara jhonjh phulwari mein ho koi nahin kahta

yahi kahte hain yarab bagh mein apna nasheman ho

azal se ta-abad lambi yaqin hai Tang bhi hogi

hasin shoKH wo sahra-e-mahshar jis ka daman ho

'zarif' insaf se kah do wo aashiq hai ki chuha hai

zamin-e-qasr-e-jaanan mein jo ye chahe ki maskan ho

(1089) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamanna Hai Kisi Ki Tegh Ho Aur Apni Gardan Ho In English By Famous Poet Zareef Lakhnavi. Tamanna Hai Kisi Ki Tegh Ho Aur Apni Gardan Ho is written by Zareef Lakhnavi. Read famous Poem Tamanna Hai Kisi Ki Tegh Ho Aur Apni Gardan Ho for youth and Student by Zareef Lakhnavi. Free Download Tamanna Hai Kisi Ki Tegh Ho Aur Apni Gardan Ho in PDF.