Aks-e-falak Par Aaina Hai Raushan Aab ZaKHiron Ka

aks-e-falak par aaina hai raushan aab zaKHiron ka

garm-e-safar hai qaz-e-qafila sail-e-rawan hai tiron ka

kaTe hue kheton ki munDeron par abrak ki zangari

thaki hui miTTi ke sahaare Dher laga hai hiron ka

tez qalam kirnon ne banae hain kya kya hairat paikar

jhil ke Thahre hue pani par naqsh utra taswiron ka

kya kuchh dil ki KHakistar par likh ke gai hai mauj-e-hawa

paDhne wala koi nahin hai in miTti tahriron ka

reg-e-nafas ka zaiqa munh mein gard-e-mah-o-sal aankhon mein

main hun 'zeb' aur chaar taraf ek sahra hai tabiron ka

(981) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aks-e-falak Par Aaina Hai Raushan Aab ZaKHiron Ka In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Aks-e-falak Par Aaina Hai Raushan Aab ZaKHiron Ka is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Aks-e-falak Par Aaina Hai Raushan Aab ZaKHiron Ka for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Aks-e-falak Par Aaina Hai Raushan Aab ZaKHiron Ka in PDF.