Ek Kiran Bas Raushniyon Mein Sharik Nahin Hoti

ek kiran bas raushniyon mein sharik nahin hoti

dil ke bujhne se duniya tarik nahin hoti

jaise apne hath uTha kar ghaTa ko chhu lunga

lagta hai ye zulf magar nazdik nahin hoti

tera badan talwar sahi kis ko hai jaan aziz

ab aisi bhi dhaar us ki barik nahin hoti

sher to mujh se teri aankhen kahla leti hain

chup rahta hun main jab tak tahrik nahin hoti

dil ko sambhaale hansta bolta rahta hun lekin

sach puchho to 'zeb' tabiat Thik nahin hoti

(1518) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Kiran Bas Raushniyon Mein Sharik Nahin Hoti In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Ek Kiran Bas Raushniyon Mein Sharik Nahin Hoti is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Ek Kiran Bas Raushniyon Mein Sharik Nahin Hoti for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Ek Kiran Bas Raushniyon Mein Sharik Nahin Hoti in PDF.