Ek Pili Chamkili ChiDiya Kali Aankh Nashili Si
ek pili chamkili chiDiya kali aankh nashili si
baiThi hai dariya ke kinare meri tarah akeli si
jab main nasheb-o-rang-o-bu mein utra us ki yaad ke sath
os mein bhigi dhup lagi hai narm hari lachkili si
kis ko KHabar main kis raste ki dhul banun ya phul banun
kya jaane kya rang dikhae us ki aankh paheli si
tez hawa ki dhaar se kaT kar kya jaane kab gir jae
lahraati hai shaKH-e-tamanna kachchi bel chameli si
kam raushan ek KHwab aaina ek pila murjhaya phul
pas-manzar ke sannaTe mein ek nadi pathrili si
(1243) Peoples Rate This