Gahri Raat Hai Aur Tufan Ka Shor Bahut

gahri raat hai aur tufan ka shor bahut

ghar ke dar-o-diwar bhi hain kamzor bahut

tere samne aate hue ghabraata hun

lab pe tera iqrar hai dil mein chor bahut

naqsh koi baqi rah jae mushkil hai

aaj lahu ki rawani mein hai zor bahut

dil ke kisi kone mein paDe honge ab bhi

ek khula aakash patangen Dor bahut

mujh se bichhaD kar hoga samundar bhi bechain

raat Dhale to karta hoga shor bahut

aa ke kabhi virani-e-dil ka tamasha kar

is jangal mein nach rahe hain mor bahut

apne basere panchhi lauT na paya 'zeb'

sham ghaTa bhi uTThi thi ghanghor bahut

(1103) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gahri Raat Hai Aur Tufan Ka Shor Bahut In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Gahri Raat Hai Aur Tufan Ka Shor Bahut is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Gahri Raat Hai Aur Tufan Ka Shor Bahut for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Gahri Raat Hai Aur Tufan Ka Shor Bahut in PDF.