Garm Lahu Ka Sona Bhi Hai Sarson Ki Ujyali Mein

garm lahu ka sona bhi hai sarson ki ujyali mein

dhup ki jot jagane wale suraj ghol piyali mein

ek sarapa mahrumi ka naqsha tu ne khinch diya

talKHi ki zahrab chamak bhi hai kuchh chashm-e-sawali mein

rishta bhi hai nashw-o-numa ka farq bhi raushan lamhon ka

sabz sarapa shaKH-e-badan aur jangal ki hariyali mein

larzish bhi hai sath-e-falak par gardish karte sitaron ki

waqt ka ek Thahrao bhi hai is aurang-KHayali mein

shola-dar-shola surKHi ki maujon ko tah-dar bana

wo jo ek gahrai si hai rang-e-shafaq ki lali mein

aahista aahista ek ek bund falak se Tapki hai

khinch ek sannaTe ki faza bhi shabnam ki ujyali mein

'zeb' na bin naqqal-e-aina jiti-jagti aanhken khol

apna zehn utar ke rakh de rangon ki is thaali mein

(1043) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Garm Lahu Ka Sona Bhi Hai Sarson Ki Ujyali Mein In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Garm Lahu Ka Sona Bhi Hai Sarson Ki Ujyali Mein is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Garm Lahu Ka Sona Bhi Hai Sarson Ki Ujyali Mein for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Garm Lahu Ka Sona Bhi Hai Sarson Ki Ujyali Mein in PDF.