Ghaar Ke Munh Se Ye ChaTTan HaTane Ke Liye

ghaar ke munh se ye chaTTan haTane ke liye

koi neki bhi nahin yaad dilane ke liye

ek nigah-e-ghalat-andaz ka imkan nikla

kuchh zamin aur mili panw baDhane ke liye

us ki rahon mein paDa main bhi hun kab se lekin

bhul jata hun use yaad dilane ke liye

subh darweshon ne phir rah li apni apni

main bhi baiTha tha wahan qissa sunane ke liye

wo mere sath to kuchh dur chala tha lekin

kho gaya KHud bhi mujhe rah pe lane ke liye

ek shab hi to basar karna hai is dasht mein 'zeb'

kuchh bhi mil jae yahan sar ko chhupane ke liye

(1143) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghaar Ke Munh Se Ye ChaTTan HaTane Ke Liye In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Ghaar Ke Munh Se Ye ChaTTan HaTane Ke Liye is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Ghaar Ke Munh Se Ye ChaTTan HaTane Ke Liye for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Ghaar Ke Munh Se Ye ChaTTan HaTane Ke Liye in PDF.