Hawa Mein UDta Koi KHanjar Jata Hai

hawa mein uDta koi KHanjar jata hai

sar uncha karta hun to sar jata hai

dhup itni hai band hui jati hai aankh

aur palak jhapkun to manzar jata hai

andar andar khokhle ho jate hain ghar

jab diwaron mein pani bhar jata hai

chha jata hai dasht o dar par sham Dhale

phir dil mein sab sannaTa bhar jata hai

'zeb' yahan pani ki koi thah nahin

kitni gahrai mein patthar jata hai

(943) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa Mein UDta Koi KHanjar Jata Hai In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Hawa Mein UDta Koi KHanjar Jata Hai is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Hawa Mein UDta Koi KHanjar Jata Hai for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Hawa Mein UDta Koi KHanjar Jata Hai in PDF.