KHanjar Chamka Raat Ka Sina Chaak Hua

KHanjar chamka raat ka sina chaak hua

jangal jangal sannaTa saffak hua

zaKHm laga kar us ka bhi kuchh hath khula

main bhi dhoka kha kar kuchh chaalak hua

meri hi parchhain dar o diwar pa hai

subh hui nairang tamasha KHak hua

kaisa dil ka charagh kahan ka dil ka charagh

tez hawaon mein shoala KHashak hua

phul ki patti patti KHak pe bikhri hai

rang uDa uDte uDte aflak hua

har dam dil ki shaKH larazti rahti thi

zard hawa lahrai qissa pak hua

ab us ki talwar meri gardan hogi

kab ka KHali 'zeb' mera fitrak hua

(1124) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHanjar Chamka Raat Ka Sina Chaak Hua In English By Famous Poet Zeb Ghauri. KHanjar Chamka Raat Ka Sina Chaak Hua is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem KHanjar Chamka Raat Ka Sina Chaak Hua for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download KHanjar Chamka Raat Ka Sina Chaak Hua in PDF.