KHak Aaina Dikhati Hai Ki Pahchan Mein Aa

KHak aaina dikhati hai ki pahchan mein aa

aks-e-nayab mere dida-e-hairan mein aa

hai sharara hawas-amada-e-parwaz bahut

yam-e-zulmat bulata hai ki tufan mein aa

jagmagata hua KHanjar mere sine mein utar

raushni le ke kabhi KHana-e-viran mein aa

is tarah chhup ki koi DhunDh nikale tujh ko

aasmanon se utar kar had-e-imkan mein aa

baiTh ja apne kaTe sar ko liye hathon mein

thak gaya main bhi yahan ganj-e-shahidan mein aa

ramna KHali ram-e-ahu-e-maani se hua

chhup ke baiTha hi tha main 'zeb' niystan mein aa

(919) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHak Aaina Dikhati Hai Ki Pahchan Mein Aa In English By Famous Poet Zeb Ghauri. KHak Aaina Dikhati Hai Ki Pahchan Mein Aa is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem KHak Aaina Dikhati Hai Ki Pahchan Mein Aa for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download KHak Aaina Dikhati Hai Ki Pahchan Mein Aa in PDF.