Mauja-e-gham Mein Rawani Bhi To Ho

mauja-e-gham mein rawani bhi to ho

kuchh jigar ka KHun-pani bhi to ho

ranj surat ke badal jaane ka kya

koi shai duniya ki fani bhi to ho

gham mein rafta rafta masti aaegi

kuchh dinon ye mai purani bhi to ho

kijiyega sun ke kya rudad-e-gham

kya kahun koi kahani bhi to ho

kya taqabul meri jaulani se 'zeb'

koi dariya mein rawani bhi to ho

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mauja-e-gham Mein Rawani Bhi To Ho In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Mauja-e-gham Mein Rawani Bhi To Ho is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Mauja-e-gham Mein Rawani Bhi To Ho for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Mauja-e-gham Mein Rawani Bhi To Ho in PDF.