Marne Ka Sukh Jine Ki Aasani De

marne ka sukh jine ki aasani de

andata kaisa hai aag na pani de

is dharti par hariyali ki jot jaga

kale megha pani de gardani de

band aflak ki diwaron mein rauzan kar

koi to manzar mujh ko imkani de

mere dil par khol kitabon ke asrar

meri aankh ko apni saf nishani de

arz o sama ke pas-manzar se samne aa

dil ko yaqin de aankhon ko hairani de

mere hone mere na hone mein kya hai

maut ko mafhum is hasti ko maani de

barakat de din pherne wali duaon ko

raat ko koi KHush-tabir kahani de

TuTti rahti hai kachche dhage si nind

aankhon ko ThanDak KHwabon ko girani de

mujh ko jahan ke saton sukh dene wale

dena hai to koi daulat la-fani de

tujh se juda ho kar to main mar jaunga

mujh ko apna sar ai dost nishani de

ek ek patthar rah ka 'zeb' haTata chal

pichhe aane walon ko aasani de

(1060) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Marne Ka Sukh Jine Ki Aasani De In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Marne Ka Sukh Jine Ki Aasani De is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Marne Ka Sukh Jine Ki Aasani De for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Marne Ka Sukh Jine Ki Aasani De in PDF.