Main Tishna Tha Mujhe Sar-chashma-e-sarab Diya

main tishna tha mujhe sar-chashma-e-sarab diya

thake badan ko mere pattharon mein dab diya

jo dastaras mein na tha meri wo mila mujh ko

bisat-e-KHak se bahar jahan-e-KHwab diya

ajab karishma dikhaya ba-yak qalam us ne

hawa chillai samundar ko naqsh-e-ab diya

mein rakh ho gaya diwar-e-sang takte hue

suna sawal na us ne koi jawab diya

tahi-KHazana nafas tha bacha ke kya rakhta

na us ne puchha na main ne kabhi hisab diya

phir ek naqsh ka nairang 'zeb' bikhrega

mere ghubar ko phir us ne pech-o-tab diya

(1029) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Tishna Tha Mujhe Sar-chashma-e-sarab Diya In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Main Tishna Tha Mujhe Sar-chashma-e-sarab Diya is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Main Tishna Tha Mujhe Sar-chashma-e-sarab Diya for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Main Tishna Tha Mujhe Sar-chashma-e-sarab Diya in PDF.