Murad-e-shikwa Nahin Lutf-e-guftugu Ke Siwa

murad-e-shikwa nahin lutf-e-guftugu ke siwa

bacha hai pairahan jaan mein kya rafu ke siwa

hawa chali thi har ek samt us ko pane ki

na kuchh bhi hath laga gard-e-justuju ke siwa

kisi ki yaad mujhe bar bar kyun aai

us ek phul mein kya shai thi rang-o-bu ke siwa

ubharta rahta hai is KHak-e-dil pe naqsh koi

ab is nawah mein kuchh bhi nahin numu ke siwa

adhuri chhoD ke taswir mar gaya wo 'zeb'

koi bhi rang mayassar na tha lahu ke siwa

(1008) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Murad-e-shikwa Nahin Lutf-e-guftugu Ke Siwa In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Murad-e-shikwa Nahin Lutf-e-guftugu Ke Siwa is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Murad-e-shikwa Nahin Lutf-e-guftugu Ke Siwa for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Murad-e-shikwa Nahin Lutf-e-guftugu Ke Siwa in PDF.