Pahle Mujhko Bhi KHayal-e-yar Ka Dhoka Hua

pahle mujh ko bhi KHayal-e-yar ka dhoka hua

dil magar kuchh aur hi aalam mein tha khoya hua

dil ki surat ghaT rahi hai Dubte suraj ki lau

uTh raha hai kuchh dhuan sa dur bal khata hawa

main ne betabana baDh kar dasht mein aawaz di

jab ghubar uTTha kisi diwane ka dhoka hua

nind uchaT jaegi in matwali aankhon ki na sun

meri hasti ka fasana hai bahut uljha hua

dil se Takra jati hai rah rah ke koi mauj 'zeb'

shab ka sannaTa koi bahta hua dariya hua

(1117) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahle Mujhko Bhi KHayal-e-yar Ka Dhoka Hua In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Pahle Mujhko Bhi KHayal-e-yar Ka Dhoka Hua is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Pahle Mujhko Bhi KHayal-e-yar Ka Dhoka Hua for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Pahle Mujhko Bhi KHayal-e-yar Ka Dhoka Hua in PDF.