Sehn-e-chaman Mein Jaana Mera Aur Faza Mein Bikhar Jaana

sehn-e-chaman mein jaana mera aur faza mein bikhar jaana

shaKH-e-gul ke sath lachakna saba ke sath guzar jaana

sehr-bhari do aankhen mera pichha karti rahti hain

nagin ka wo muD kar dekhna phir wadi mein utar jaana

zaKHm hi tera muqaddar hain dil tujh ko kaun sambhaalega

ai mere bachpan ke sathi mere sath hi mar jaana

suraj ki in aaKHiri maddham kirnon ko gin sakte hain

din ka wo moti sa chamakna phir pani mein utar jaana

yahin kahin sahra mein Thahar ja dam lene ki baat nahin

KHak siwa rakkha hi kya hai yahan se aur kidhar jaana

us se ab dasht-e-imkan ke safar-hazar ka puchhna kya

jis ne rahguzar ke ghane peDon ko bhi dard-e-sar jaana

ek nihan-KHane ke taq par aaina rakkha tha 'zeb'

ek jhalak si apni dekhna aur wo mera Dar jaana

(1009) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sehn-e-chaman Mein Jaana Mera Aur Faza Mein Bikhar Jaana In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Sehn-e-chaman Mein Jaana Mera Aur Faza Mein Bikhar Jaana is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Sehn-e-chaman Mein Jaana Mera Aur Faza Mein Bikhar Jaana for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Sehn-e-chaman Mein Jaana Mera Aur Faza Mein Bikhar Jaana in PDF.