Shahr Mein Humse Kuchh Aashufta-dilan Aur Bhi Hain

shahr mein hum se kuchh aashufta-dilan aur bhi hain

sahil-e-bahr pe qadmon ke nishan aur bhi hain

ret ke tude chamak uThte hain jab zulmat mein

aisa lagta hai ki kuchh log yahan aur bhi hain

kaise manzar the ki shishon ki tarah TuT gae

magar aankhon mein kai KHwab-e-giran aur bhi hain

bastiyan dil ki bhi sunsan paDi hain kab se

ye khanDar hi nahin sayon ke makan aur bhi hain

shab ke sannaTe mein chaTTanon ko dekho ai 'zeb'

tum se begana-e-fariyaad-o-fughan aur bhi hain

(921) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr Mein Humse Kuchh Aashufta-dilan Aur Bhi Hain In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Shahr Mein Humse Kuchh Aashufta-dilan Aur Bhi Hain is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Shahr Mein Humse Kuchh Aashufta-dilan Aur Bhi Hain for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Shahr Mein Humse Kuchh Aashufta-dilan Aur Bhi Hain in PDF.