Sitamgaron Ka Tariq-e-jafa Nahin Jata

sitamgaron ka tariq-e-jafa nahin jata

ki qatl karna ho jis ko kaha nahin jata

ye kam hai kya ki mere pas baiTha rahta hai

wo jab talak mere dil ko dukha nahin jata

tumhein to shahr ke aadab tak nahin aate

ziyaada kuchh yahan puchha-guchha nahin jata

baDe azab mein hun mujh ko jaan bhi hai aziz

sitam ko dekh ke chup bhi raha nahin jata

bharam sarab-e-tamanna ka kya khula mujh par

ab ek gam bhi mujh se chala nahin jata

ajib log hain dil mein KHuda se munkir hain

magar zaban se zikr-e-KHuda nahin jata

uDa ke KHak bahut main ne dekh li ai 'zeb'

wahan talak to koi rasta nahin jata

(1076) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitamgaron Ka Tariq-e-jafa Nahin Jata In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Sitamgaron Ka Tariq-e-jafa Nahin Jata is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Sitamgaron Ka Tariq-e-jafa Nahin Jata for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Sitamgaron Ka Tariq-e-jafa Nahin Jata in PDF.