Taza Hai Uski Mahak Raat Ki Rani Ki Tarah

taza hai us ki mahak raat ki rani ki tarah

kisi bichhDe hue lamhe ki nishani ki tarah

jitna dekho use thakti nahin aankhen warna

KHatm ho jata hai har husn kahani ki tarah

reg-e-sahra ka ajab rang hawaon ne kiya

naqsh sa khinch gaya dariya ki rawani ki tarah

yun guzarta hai wo katra ke nawah-e-dil se

jaise ye KHak ka KHitta bhi ho pani ki tarah

mujh se kya kuchh na saba kah ke gai hai ai 'zeb'

chand hi lafzon mein paigham-e-zabani ki tarah

(1152) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taza Hai Uski Mahak Raat Ki Rani Ki Tarah In English By Famous Poet Zeb Ghauri. Taza Hai Uski Mahak Raat Ki Rani Ki Tarah is written by Zeb Ghauri. Read famous Poem Taza Hai Uski Mahak Raat Ki Rani Ki Tarah for youth and Student by Zeb Ghauri. Free Download Taza Hai Uski Mahak Raat Ki Rani Ki Tarah in PDF.