Aisi Tashbih Faqat Husn Ki Badnami Hai

aisi tashbih faqat husn ki badnami hai

mah aariz ko likha KHame ki ye KHami hai

rang ye un ki sabahat ne ajab dikhlaya

surKH joDe pe guman hota hai baadami hai

kahte phirte ho bura mujh ko ye baat achchhi nahin

meri ruswai mein sahab ki bhi badnami hai

aap ki baaton se dil pak gaya jab kahta hun main

hans ke kahte hain ye ulfat ki faqat KHami hai

chumta hai koi aankhon se lagata hai koi

hai libas aap ka ya jama-e-ehrami hai

nahin Dagne ka qadam rah-e-wafa se apna

jo sitam chaho karo sabr mera hami hai

aap ki ishq ki iza mein hai lutf o rahat

aap par KHatm meri jaan dil-arami hai

hum akele nahin rahte shab-e-tanhai mein

yas-o-andoh-o-gham o hasrat-o-nakaami hai

dil ko abru hain pasand aankh ko chashm-e-mai-gun

koi duniya mein hilali hai koi jami hai

lauh-e-quran jo kaha un ki jabin ko 'zeba'

is mein kuchh shak nahin tashbih ye ilhami hai

(1265) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisi Tashbih Faqat Husn Ki Badnami Hai In English By Famous Poet Zeba. Aisi Tashbih Faqat Husn Ki Badnami Hai is written by Zeba. Read famous Poem Aisi Tashbih Faqat Husn Ki Badnami Hai for youth and Student by Zeba. Free Download Aisi Tashbih Faqat Husn Ki Badnami Hai in PDF.