Faisla Kya Ho Jaan-e-bismil Ka
faisla kya ho jaan-e-bismil ka
maut ruKH dekhti hai qatil ka
dil-lagi hai sambhaalna dil ka
naseha kaam hai ye mushkil ka
maut bhi kanp kanp uThti hai
nam sun sun ke mere qatil ka
mil ke talwon se hans ke kahte hain
tha zamane mein shor usi dil ka
hasraten is pate par aati hain
dagh-e-dil hai charagh manzil ka
kya qarine se gul hain gulshan mein
rang uDaya kisi ke mahfil ka
aap ko kho ke tum ko DhunDh liya
hausla tha ye mere hi dil ka
be-naqab us ne kis ko dekh liya
rang faq hai jo mah-e-kaamil ka
hans ke phulon ko wo karenge subuk
rang uDaenge hum anadil ka
zikr-e-gham bazm-e-yar mein 'zeba'
rang bhi dekhte ho mahfil ka
(1183) Peoples Rate This